Fana bulandshahri

ye tamanna hai ki is tarah musalman hota

Fana bulandshahri

ye tamannā hai ki is tarah musalmāñ hotā

maiñ tire husn pe sau jaan se qurbāñ hotā

ālam-e-josh-e-junūñ meñ jo adā hotī namāz

sar mirā sar kahāñ hotā dar-e-jānāñ hotā

kuchh tamannā hai to bas ye hai mohabbat meñ mujhe

mere hāthoñ meñ mire yaar dāman hotā

agar apnā banā letā mujhe mere sanam

kyuuñ mohabbat mirā chāk-e-garebāñ hotā

sab karishma hai faqat rañg-e-duī varna

mazhab-e-pīr-e-muġhāñ mushrib-e-rindāñ hotā

na dikhāte mujhe jalva magar itnā karte

aap ġham mirī taskīn sāmāñ hotā

thaam kar maiñ tire dāman 'fanā' ho jaatā

kaash is tarah mukammal mirā īmāñ hotā

Top Urdushayar.com