ai sanam der na kar anjuman-ārā ho jā
merī dam toḌtī nazroñ kā sahārā ho jā
apne dāman meñ chhupā le mujhe mahbūb mire
mirī bigḌī huī qismat kā sitāra ho jā
ishq sachchā hai to phir rañg-e-duī Thiik nahīñ
ham tire ho ga.e ab tū bhī hamārā ho jā
mujh ko har vaqt hai lazzat-e-dīdār-e-sanam
merī nazroñ ke liye aisā sahārā ho jā
merī chāhat kā do-ālam meñ bharam rah jaa.e
tū mujhe merī mohabbat se pyārā ho jā
us ko paanā hai to kashtī se kinārā kar le
Duub kar bahr-e-mohabbat kā kinārā ho jā
huuñ 'fanā' ishq meñ tere tirā kahlātā huuñ
merī taqdīr badal merā sahārā ho jā