Fana bulandshahri

ba-hosh wahi hain diwane ulfat mein jo aisa karte hain

Fana bulandshahri

bā-hosh vahī haiñ dīvāne ulfat meñ jo aisā karte haiñ
har vaqt unhī ke jalvoñ se īmān kā saudā karte haiñ
ham ahl-e-junūñ meñ bas yahī me.arāj-e-ibādat hai apnī
miltā hai jab un kā naqsh-e-qadam ham shukr kā sajda karte haiñ
milte haiñ nazar hosh uḌte haiñ mastī bhī barasne lagtī hai
ma.alūm nahīñ vo kaun sī mai āñkhoñ se pilāyā karte haiñ
paate haiñ vahī maqsūd-e-nazar miltī hai unheñ manzil un kī
jo un kī tamannā meñ har dam ḳhud apnī tamannā karte haiñ
hai shauq yahī mastānoñ ko hai sharm yahī dīvānoñ ko
siine se lagā kar yaad us kī us shoḳh kī puujā karte haiñ
māyūs na ho nādān na ban dil soz-e-alam se jalne de
jo chāhne vaale haiñ un ke vo aag se khelā karte haiñ
ham kis ke hue dil kis ne liyā vo kaun hai kyā hai kyā kahiye
ye raaz abhī tak khul na sakā ham kis kī tamannā karte haiñ
maiḳhāna-e-hastī meñ ham ne ye rañg nayā dekhā saaqī
jin bāda-kashoñ ko hosh nahīñ vo hosh kā da.avā karte haiñ
ye kaisī jafā.eñ hotī haiñ ye kaisī adā hai un kī 'fanā'
ham husn kā parda rakhte haiñ vo ishq kā da.avā karte haiñ
Top Urdushayar.com