vo āshnā-e-manzil-e-irfāñ huā nahīñ
jis ko tire karam kā sahārā milā nahīñ
dekhā bahut nigāh-e-talab ko milā nahīñ
tum se tum hī ho tum sā koī dūsrā nahīñ
jā.ūñ to uTh ke jā.ūñ kahāñ tere dar se maiñ
tere sivā kisī ko bhī dil māntā nahīñ
terā karam matā-e-do-ālam mire liye
terā karam rahe to do-ālam meñ kyā nahīñ
dast-e-talab baḌhe to mile phir karam kī bhiik
un kī atā ne ye bhī gavāra kiyā nahīñ
maiñ bhī faqīr-e-dar huuñ mujhe bhī navāz do
māyūs koī dar se tumhāre gayā nahīñ
takmīl bandagī na huī mujh se ai 'fanā'
jab tak dar-e-habīb pe sajda kiyā nahīñ