Fana bulandshahri

aankhon mein nami aai chehre pe malal aaya

Fana bulandshahri

āñkhoñ meñ namī aa.ī chehre pe malāl aayā
ai jalva-e-mahbūbī jab terā ḳhayāl aayā
thā un kī tavajjoh meñ har jazb-e-talab merā
har chand mo.addab thī jab merā savāl aayā
is baat pe badlī hai bas chashm-e-karam un kī
ushshāq ke hoñToñ pe kyuuñ harf-e-savāl aayā
yā un ke hasīn abrū aa.e haiñ tasavvur meñ
yā mahfil-e-hastī meñ raḳhshanda hilāl aayā
ham sajda jahāñ kar leñ ka.aba vahīñ ban jaa.e
miT kar tirī ulfat meñ ham ko ye kamāl aayā
ab hashr-ba-dāmāñ hai har mahfil-e-tanhā.ī
tum aa.e to furqat kī azmat pe zavāl aayā
phir rañg-e-junūñ barsā phūloñ kī qabāoñ par
ye kaun gulistāñ meñ āshufta nihāl aayā
paiġhām-e-'fanā' laayā taskīn-e-dil-e-muztar
vo aa ga.e nazroñ meñ jab vaqt-e-visāl aayā
Top Urdushayar.com