nikle vo phuul ban ke tire gulsitāñ se ham
mahkā diyā fazāoñ ko guzre jahāñ se ham
ab to yahī harīm-e-mohabbat hai ai sanam
jaa.eñ kahāñ ab uTh ke tire āstāñ se ham
duniyā meñ ab kahīñ bhī Thahartī nahīñ nazar
tujh sā hasīn laa.eñ to laa.eñ kahāñ se ham
dil le ke jis ne dard-e-mohabbat atā kiyā
māñgeñge ab davā bhī usī mehrbāñ se ham
dāman meñ kuchh to Daal de apne karam kī bhiik
dāman tahī na jā.eñge us āstāñ se ham
terā karam rahā jo rah-e-ishq meñ sanam
ik roz aa mileñge tire kārvāñ se ham
likkhī huī thī qaid-e-anāsir nasīb meñ
le kar chale haiñ apnā qafas āshiyāñ se ham
rāh-e-junūñ meñ khilne lage āshiqī ki phuul
un ke karam ke saa.e meñ guzre jahāñ se ham
Thukrā.eñ yā navāz leñ vo ham ko ai 'fanā'
shikva kabhī kareñge na apnī zabāñ se ham