hai vaj.h koī ḳhaas mirī aañkh jo nam hai
bas itnā samajhtā huuñ ki ye un kā karam hai
ye ishq kī me.arāj hai yā un kā karam hai
har vaqt mire sāmne tasvīr-e-sanam hai
ka.abe se ta.alluq hai na but-ḳhāne kā ġham hai
hāsil mire sajdoñ kā tirā naqsh-e-qadam hai
dīvānoñ pe kis darja tirā lutf-o-karam hai
baḳhshā hai jo ġham tū ne vahī hāsil-e-ġham hai
sar jab se jhukāyā hai dar-e-yār pe maiñ ne
mehrāb-e-ḳhudī jalva-gah-e-sham-e-haram hai
kyā kaam zamāne se use ai shah-e-ḳhūbāñ
taqdīr meñ jis kī tirī furqat kā alam hai
kaunain badal jaa.e magar tū na badalnā
tere hī sabab ahl-e-mohabbat kā bharam hai
palkoñ pe bikharte haiñ tirī yaad ke motī
har ashk-e-nadāmat tirā andāz-e-karam hai
zāhir meñ koī ka.aba koī dair-o-kalīsā
bātin meñ har ik chiiz tirā naqsh-e-qadam hai
kar apnī nazar se mire īmān kā saudā
ai dost tujhe merī mohabbat kī qasam hai
ye umr guzar jaa.e magar hosh na aa.e
sar shauq-e-ibādat meñ dar-e-yār pe ḳham hai
ai dost tire ishq meñ pahuñchā huuñ yahāñ tak
āñkhoñ meñ sanam-ḳhāna hai siine meñ haram hai
kis tarah 'fanā' chhoḌūñ sanam-ḳhāna-e-ulfat
hāsil mire īmān kā dīdār-e-sanam hai
duniyā se nirālī hai 'fanā' maqtal-e-ulfat
is maqtal-e-ulfat meñ jo sar hai vo qalam hai