Bismil Allahabadi

jo na karna tha kiya jo kuchh na hona tha hua

Bismil Allahabadi

jo na karnā thā kiyā jo kuchh na honā thā huā
chaar din kī zindagī meñ kyā kaheñ kyā kyā huā
ye samajh kar ham nahīñ kahte kisī se rāz-e-dil
is taraf niklā zabāñ se us taraf charchā huā
bhar ke ThanDī saañs liiñ bīmār ne jab karvaTeñ
vo kaleja thaam kar kahne lage ye kyā huā
suniye suniye ātish-e-ġham se hue ham jal ke ḳhaak
kahiye kahiye ab kaleja aap kā ThanDā huā
mere chehre se ayaañ hai dekh lo pahchān lo
ye na pūchho dil kā aalam dil kā naqsha kyā huā
Top Urdushayar.com