Fana bulandshahri

un ke jalwon pe hama-waqt nazar hoti hai

Fana bulandshahri

un ke jalvoñ pe hama-vaqt nazar hotī hai
kūcha-e-yār meñ yuuñ apnī basar hotī hai
jaane kyā chiiz mohabbat kī nazar hotī hai
vo jidhar hote haiñ duniyā hī udhar hotī hai
hosh vaale merī vahshat ko bhalā kyā samjheñ
un ke dīvānoñ ko aalam kī ḳhabar hotī hai
ishq meñ chāñd-sitāroñ kī haqīqat kyā ho
jalva-e-yār pe qurbān sahar hotī hai
aap kī yaad se hotā hai mirā dil raushan
aap ko dekh ke bedār nazar hotī hai
merī un ko na ḳhabar ho ye koī baat nahīñ
un ko to saare zamāne kī ḳhabar hotī hai
jazba-e-ishq meñ jannat kī tamannā kaisī
ye bulandī to mirī gard-e-safar hotī hai
hech hotī hai nigāhoñ meñ matā-e-kaunain
mere dilbar kī nazar jab bhī idhar hotī hai
mere dāman meñ samā jaate haiñ donoñ aalam
mere jānāñ kī nazar jab bhī idhar hotī hai
aur kyā hogī mire ishq kī me.arāj 'fanā'
zindagī yaar ke qadmoñ meñ basar hotī hai
Top Urdushayar.com