maqām-e-hosh se guzrā makāñ se lā-makāñ pahuñchā
tumhāre ishq meñ dīvāna-e-manzil kahāñ pahuñchā
nazar kī manziloñ meñ bas tumhīñ husn-e-mujassam the
matā-e-ārzū le kar maiñ ulfat meñ jahāñ pahuñchā
usī ne ishq ban kar do-jahāñ ko phūñk Daalā hai
vo sho.ala jo tirī nazroñ se dil ke darmiyāñ pahuñchā
junūñ zāhir huā ruḳh par ḳhudī par be-ḳhudī chhā.ī
ba-qaid-e-hosh maiñ jab bhī qarīb-e-āstāñ pahuñchā
tum apnī justujū meñ ye mirā shauq-e-talab dekho
tumhāre ishq meñ luT kar bhī tum tak jān-e-jāñ pahuñchā
ta.alluq toḌ kar jān-e-jahāñ saare zamāne se
maiñ pahuñchā thā jahāñ mujh ko tirī ḳhātir vahāñ pahuñchā
'fanā' vo jalva-gar hone lage har bazm-e-īmāñ meñ
mirā dil le ke jab mujh ko sar-e-kū-e-butāñ pahuñchā