Fana bulandshahri

wo aur honge jinko haram ki talash hai

Fana bulandshahri

vo aur hoñge jin ko haram kī talāsh hai
mujh ko to tere naqsh-e-qadam kī talāsh hai
maiñ to gunāhgār-e-mohabbat huuñ ai sanam
mujh ko tirī nigāh-e-karam kī talāsh hai
zāhid sanam-kada merī manzil nahīñ magar
āshiq huuñ mujh ko apne sanam kī talāsh hai
maiñ terā ho chukā huuñ zamāne se kyā ġharaz
ai jān-e-jāñ mujhe tire ġham kī talāsh hai
zāhid talāsh kartā huuñ apne sanam ko maiñ
tujh ko sanam ke badle iram kī talāsh hai
le kar haram meñ shaiḳh gayā diin kī talab
panDit ko but-kade meñ dharam kī talāsh hai
ham āshiqoñ kā kyā hai ye marzī hai yaar kī
un kā sitam mile to sitam kī talāsh hai
merā dharam yahī hai ki mil jaa.e tū mujhe
terī hī justujū meñ haram kī talāsh hai
maiñ to 'fanā' huuñ ishq meñ ai jaan kyā kaheñ
tum jo atā karo usī ġham kī talāsh hai
Top Urdushayar.com