duniyā ke har ḳhayāl se begāna kar diyā
husn-e-ḳhayāl-e-yār ne dīvāna kar diyā
tū ne kamāl jalva-e-jānāna kar diyā
bulbul ko phuul sham.a ko parvāna kar diyā
mashrab nahīñ ye merā ki pūjūñ butoñ ko maiñ
shauq-e-talab ne dil ko sanam-ḳhāna kar diyā
un kī nigāh-e-mast ke qurbān jā.iye
mere junūñ ko hāsil-e-mai-ḳhāna kar diyā
Thukrā.e yā qubūl kare us kī baat hai
ham ne to pesh jaan kā nazrāna kar diyā
tere ḳhirām-e-nāz pe qurbān zindagī
naqsh-e-qadam ko raunaq-e-vīrāna kar diyā
mai-ḳhāna-e-alast kā vo riñd huuñ 'fanā'
jis par nigāh Daal dī mastāna kar diyā