ab tasavvur meñ haram hai na sanam-ḳhāna hai
maiñ jahāñ par huuñ vahīñ yaar kā kāshāna hai
justujū-e-haram-o-dair se begāna hai
merā dil aap kī tasvīr kā dīvāna hai
ab na ka.abe meñ jhukegā na sanam-ḳhāne meñ
merā sar sar nahīñ sañg-e-dar-e-jānāna hai
sab tirī mast-nigāhī kā karam hai saaqī
riñd jo bhī yahāñ hosh se begāna hai