mā.il-ba-karam mujh par ho jaa.eñ to achchhā ho
maqbūl mire sajde ho jaa.eñ to achchhā ho
is dasht-navardī se pīchhā to kahīñ chhūTe
ham kūcha-e-jānāñ meñ mar jaa.eñ to achchhā ho
sar ho dar-e-jānāñ pe dam apnā nikal jaa.e
ye kaam mohabbat meñ kar jaa.eñ to achchhā ho
yuuñ to sabhī aa.e haiñ dafnāne mujhe lekin
vo bhī mirī mayyat pe aa jaa.eñ to achchhā ho
phir dard-e-judā.ī kā jhagḌā na rahe koī
ham naam tirā le kar mar jaa.eñ to achchhā ho
dekheñ na kisī ko ham phir dekh ke ruḳh terā
dīdār tirā kar ke mar jaa.eñ to achchhā ho
rah jaa.e mohabbat kā duniyā meñ bharam kuchh to
do phuul hī turbat pe dhar jaa.eñ to achchhā ho
dhaḌkā lagā rahtā hai har vaqt balāoñ kā
ham saath nasheman ke jal jaa.eñ to achchhā ho
badnām hī karne ko aa.eñ vo magar aa.eñ
vo itnā karam mujh par kar jaa.eñ to achchhā ho
jā sakte haiñ jaane ko ham chal ke 'fanā' dekheñ
vo ḳhud hameñ mahfil meñ bulvā.eñ to achchhā ho