Fana bulandshahri

husn-e-butan ka ishq meri jaan ho gaya

Fana bulandshahri

husn-e-butāñ kā ishq merī jaan ho gayā
ye kufr ab to hāsil-e-īmān ho gayā
ai zabt-e-dil ye kaisī qayāmat guzar ga.ī
dīvāngī meñ chaak garebān ho gayā
vo ban sañvar ke phir mirī mahfil meñ aa ga.e
baiThe-biThā.e hashr kā sāmān ho gayā
kar ke siñghār aa.e vo aisī adā ke saath
ā.īna un ko dekh kar hairān ho gayā
dekhā jo us sanam ko to mahsūs ye huā
jalva ḳhudā kā sūrat-e-insān ho gayā
sab merā ishq dekh ke lete haiñ terā naam
maiñ bhī tire jamāl kī pahchān ho gayā
puujā kareñge us kī 'fanā' ham tamām umr
vo but hamāre vāste bhagvān ho gayā
Top Urdushayar.com