Fana bulandshahri

kis tarah chhoD dun ai yar main chahat teri

Fana bulandshahri

kis tarah chhoḌ duuñ ai yaar maiñ chāhat terī
mere īmān kā hāsil hai mohabbat terī
jaane kyā baat hai jalvoñ meñ tire jān-e-jahāñ
yaad aatā hai ḳhudā dekh ke sūrat terī
ab nigāhoñ meñ jachegā na koī rañg-o-jamāl
merī āñkhoñ ko pasand aa ga.ī rañgat terī
apnī qismat pe farishtoñ kī tarah naaz karūñ
mujh pe ho jaa.e agar chashm-e-ināyat terī
haram-o-dair ke jalvoñ se mujhe kyā matlab
shīsha-e-dil meñ utar aa.ī hai sūrat terī
āstāne se tire sar na uThegā merā
mudda.ā ban ke milī hai mujhe nisbat terī
maiñ 'fanā' ho ke pahuñch jā.ūñgā tere dar tak
raah dikhlāne lagī mujh ko mohabbat terī
Top Urdushayar.com