na rahe tum jo hamāre to sahārā na rahā
koī duniyā-e-mohabbat meñ hamārā na rahā
ab koī aur zamāne meñ sahārā na rahā
jis ko kahte the hamārā hai hamārā na rahā
de diyā hazrat-e-īsā ne use saaf javāb
tere bīmār kā ab koī sahārā na rahā
kyā kaheñ haal zamāne kā ḳhulāsa ye hai
tum hamāre na rahe koī hamārā na rahā
kyā kahūñ anjuman-e-nāz kā haal ai 'bismil'
sab ke charche rahe bas zikr tumhārā na rahā