Fana bulandshahri

han wahi ishq-o-mohabbat ki jila hoti hai

Fana bulandshahri

haañ vahī ishq-o-mohabbat kī jilā hotī hai
jo ibādat dar-e-jānāñ pe adā hotī hai
jo giraftār-e-mohabbat haiñ ye un se pūchho
naaz kyā chiiz hai kyā chiiz adā hotī hai
un kī nazroñ kī haqīqat ko koī kyā jaane
un kī nazroñ meñ har ik ġham kī davā hotī hai
kyuuñ na chehre pe malūñ ḳhāk-e-dar-e-yār ko maiñ
yahī vo ḳhaak hai jo ḳhāk-e-shifā hotī hai
rā.egāñ sajde bhī ho jaate haiñ maqbūl-e-karam
shāmil-e-hāl agar un kī razā hotī hai
jaane kyā chiiz chhupī hai tire jalvoñ meñ sanam
saarī duniyā tere jalvoñ pe fidā hotī hai
maiñ bhī huuñ ek ināyat kī nazar kā tālib
tere kūche meñ marīzoñ ko shifā hotī hai
un ke maiḳhāne ko chhū aatī hai jab fasl-e-bahār
phuul khil jaate haiñ mastī meñ havā hotī hai
ai 'fanā' miltā hai āshiq ko baqā kā paiġhām
zindagī jab rah-e-ulfat meñ fanā hotī hai
Top Urdushayar.com