Fana bulandshahri

jab tak mere honTon pe tera nam rahega

Fana bulandshahri

jab tak mire hoñToñ pe tirā naam rahegā
dil be-ḳhabar-e-gardish-e-ayyām rahegā
miT jā.egā har naqsh-e-ḳhayāl-e-ġham-e-hastī
lekin varaq-e-dil pe tirā naam rahegā
kyuuñ Dar hai gunāhoñ ke sabab hashr ke din se
ham jānte haiñ un kā karam aam rahegā
paiġhām to ā.eñge bahut dair-o-haram se
lekin tirī chaukhaT se mujhe kaam rahegā
mai-ḳhāna salāmat hai agar terī nazar kā
labrez ma-e-ishq se har jaam rahegā
dāman hai agar terā mire dast-e-talab meñ
āġhāz se behtar mirā anjām rahegā
jā.egī na dil se tire aariz kī mohabbat
zulfoñ kā tasavvur mujhe har shaam rahegā
āñkheñ hī nahīñ terī 'fanā' diid ke qābil
tū jalva-gah-e-yār meñ nākām rahegā
Top Urdushayar.com