Fana bulandshahri

meri lau lagi hai tujhse gham-e-zindagi miTa de

Fana bulandshahri

mirī lau lagī hai tujh se ġham-e-zindagī miTā de
tirā naam hai masīhā mire dard kī davā de
mirī pyaas baḌh rahī hai mirā dil sulag rahā hai
jo nahīñ hai jaam saaqī to nigāh se pilā de
mirā mudda.ā hai itnā tū agar kare gavāra
maiñ faqīr-e-āstāñ huuñ mujhe bandagī sikhā de
mujhe shauq-e-bandagī meñ yahī ek aarzū hai
tirā naqsh-e-pā jahāñ ho mirā sar vahīñ jhukā de
mujhe dekh kar pareshāñ kyā kahegā ye zamāna
maiñ bhaTak rahā huuñ dar dar mujhe aa ke aasrā de
tirā jaam jām-e-kausar tirā mai-kada hai jannat
mire haal pe karam kar mirī tishnagī bujhā de
jise aap chāhte the vo 'fanā' hai ab kafan meñ
koī jā ke aaj un ko zarā ye ḳhabar sunā de
Top Urdushayar.com