Fana bulandshahri

mujhko duniya ke har ek gham se chhuDa rakkha hai

Fana bulandshahri

mujh ko duniyā ke har ik ġham se chhuḌā rakkhā hai
jalva-e-yār ne mad.hosh banā rakkhā hai
maut se aap kī ulfat ne bachā rakkhā hai
varna bīmār-e-ġham-e-hijr meñ kyā rakkhā hai
arsa-e-hashr meñ rusvā.ī yaqīnī thī magar
terī rahmat ne har ik jurm chhupā rakkhā hai
manzil-e-dair-o-haram chhoḌ ke ai jān-e-jahāñ
maiñ ne ka.aba terī chaukhaT ko banā rakkhā hai
jazba-e-ishq meñ takmīl-e-ibādat ke liye
maiñ ne sar yaar ke qadmoñ meñ jhukā rakkhā hai
tere jalvoñ kī ye shoḳhī are tauba tauba
hosh muusā kā sar-e-tūr uThā rakkhā hai
Top Urdushayar.com