tujhe DhūñDhtī haiñ nazreñ mujhe ik jhalak dikhā jā
mirī zindagī ke mālik mirī zindagī meñ aa jā
na ġharaz sanam-kade se na haram se koī matlab
mujhe vāsta hai tujh se mire dil meñ tū samā jā
tū bichhaḌ gayā hai jab se mirī niiñd uḌ ga.ī hai
tirī raah tak rahā huuñ mire chāñd ab to aa jā
mujhe dard de ke apnā tū kahāñ chhupā hai jā kar
mirā dil churāne vaale mujhe shakl to dikhā jā
tirā dard ban gayā hai mirī zindagī kā hāsil
mire dil pe haath rakh de zarā hausla baḌhā jā
mujhe aa ke de sahārā ye qadam na Dagmagā.eñ
kahīñ maiñ bhaTak na jā.ūñ mujhe rāsta dikhā jā
mire naam kī nishānī na rahe jahāñ meñ baaqī
mirī jaan lene vaale mirī qabr bhī miTā jā
tire husn pe fidā huuñ tire ishq meñ 'fanā' huuñ
mujhe terī aarzū hai mirī ḳhalvatoñ meñ aa jā