dair-o-haram bhī aa.e ka.ī is safar ke biich
merī jabīn-e-shauq tire sañg-e-dar ke biich
kuchh lazzat-e-gunāh bhī hai kuchh ḳhudā kā ḳhauf
insān jī rahā hai isī ḳhair-o-shar ke biich
ye ḳhvāhish-e-visāl hai yā hijr kā sulūk
chuTkī sī lī hai dard ne aa kar jigar ke biich
bichhḌe to ye malāl kī sauġhāt bhī milī
tākīd thī ḳhayāl na aa.e safar ke biich
ḳhushbū kī tarah lafz the ma.anī ba-qaid-e-rañg
ye marhale bhī aa.e haiñ arz-e-hunar ke biich
dulhan banī thī 'āshā' vo shab yaad hai mujhe
gum the mire havās hujūm-e-nazar ke biich