paḌī vo zad ki nigāhoñ kā hausla TuuTā
tumhāre aks kī jhilmil se aa.ina TuuTā
zamīn shaq huī āñkhoñ meñ bhar gayā sūraj
hamāre sar pe achānak vo hādisa TuuTā
gajar kā shor azaañ kī pukār kyā kahiye
ḳhudā se mere takallum kā silsila TuuTā
hamārī fikr had-e-āsmāñ se aage thī
magar kabhī na rivāyat se vāsta TuuTā
taġhayyurāt kī rau kab rukī hai roke se
har ek daur meñ lamhoñ kā zāviya TuuTā