zehan aur dil meñ jo rahtī hai chubhan khul jaa.e
aa.e kāġhaz pe to salmā-e-suḳhan khul jaa.e
qatra-e-dīda-e-namnāk masīhā.ī kare
fikr ke band darīchoñ kī shikan khul jaa.e
maiñ use roz manātā huuñ sahar hone tak
mere allāh kisī shab to ye dulhan khul jaa.e
ek ḳhushbū sī hai jo ruuh kī gahrā.ī meñ
lafz mil jaa.eñ to ma.anī kā chaman khul jaa.e
is tarah jaage kisī roz ġhazal kā jaadū
jaise mastī meñ piyā se koī jogan khul jaa.e
nīm-shab ijz-o-samājat se karūñ dast darāz
lafz dhone ke liye āñkhoñ meñ sāvan khul jaa.e
sar-kashī aur tajāvuz se bachānā yārab
mere ehsās meñ gar yaas kā phan khul jaa.e