fikr-e-ahl-e-hunar pe baiThī hai
shā.irī sīm-o-zar pe baiThī hai
pahle hāthoñ meñ haath rahtā thā
zindagī ab kamar pe baiThī hai
sahmī sahmī huī sī har ḳhvāhish
dil-e-vahshat-asar pe baiThī hai
phuul kāñToñ ke beach rahte haiñ
ḳhushbū titlī ke par pe baiThī hai
āstīneñ TaTol kar dekho
dostī kis Dagar pe baiThī hai