burā ho kar bhī vo achchhā bahut hai
vo jaisā hai nahīñ bantā bahut hai
namak to kam nahīñ hai roz-o-shab meñ
svād-e-zindagī phīkā bahut hai
fareb-e-sādgī hai yā sharārat
maiñ ye samjhā ki vo merā bahut hai
tujhe sochā kiyā shab-bhar sañvārā
nahīñ aisā nahīñ vaisā bahut hai
usī se baat karnā hai ki jis ne
hameñ samjhā nahīñ pūchhā bahut hai
hameñ kuchh der meñ manzil milegī
hamārā rāsta sīdhā bahut hai
ye banda kaun hai kuchh 'badr' jaisā
vahī jo bhiiḌ meñ tanhā bahut hai