phal daraḳhtoñ se gire the āñdhiyoñ meñ thaal bhar
mere hisse meñ magar aa.e nahīñ rūmāl bhar
pahle saare panchhiyoñ ko par mileñ parvāz ke
phir shikārī se kahe koī ki apnā jaal bhar
mausamoñ kī saḳhtiyāñ to bādaloñ sī uḌ ga.iiñ
aaj bhī mahfūz kab hai dil kā shīsha bāl-bhar
dhund hī chhā.ī rahī āñkhoñ meñ tum se kyā kaheñ
ab to yaaro ek sā rahtā hai mausam sāl-bhar
dhuup kī man-māniyoñ par muskurāte the kabhī
in tanāvar peḌoñ par patte bache haiñ Dāl-bhar
ek shai kā naam jo batlā.e us kā naam ho
apnī galiyoñ meñ nahīñ hai mumbai sī chaal bhar
aur ham se kyā taqāza hai tirā asr-e-ravāñ
jān-o-tan kā naam hai bas haDDiyoñ par khāl-bhar