kis ko fursat kaun paḌhegā chehre jaisā sachchā sach
roz adālat meñ chaltā hai khoTā sikka jhūTā sach
ūñche ḳhvāboñ ke tājir se koī nahīñ ye pūchhne vaalā
kaun javānoñ ke chehroñ par likh detā hai piilā sach
ham se kyā pūchhoge sāhab shahr kabhī kā TuuT chukā
shaam kī mailī chādar par hai TukḌe TukḌe phailā sach
un āñkhoñ meñ mustaqbil ke ḳhvāb bhalā kyā utreñge
jin āñkhoñ ne dekh liyā hai vaqt se pahle niilā sach
us ke beTā beTī college usī taraf se jaate haiñ
raat ko jis ne beach saḌak par pheñkā hai ik giilā sach
sab ne ham ko ḳhush-hālī ke ḳhvāb dikhā kar chhoḌ diyā
galiyoñ galiyoñ ghuum rahā hai dhuul meñ lipTā nañgā sach
'badr' tumhārī raah meñ aa kar duniyā jaal bichhā.egī
jo kahte ho kahte rahnā chhoḌ na denā likhnā sach