iqrār kisī din hai to inkār kisī din
ho jā.egī ab aap se takrār kisī din
chāhā kabhī sochā kabhī tasvīr banā.ī
chhoḌā na tirī yaad ne bekār kisī din
palkoñ pe sitāre liye rāhoñ meñ khaḌe haiñ
fursat ho to aa jā.iye sarkār kisī din
duniyā meñ sadā chaltī hai chāhat kī hukūmat
aa jaao manā leñge ham itvār kisī din
aayā hai akelā tujhe jaanā hai akelā
bas dekhte rah jā.eñge sab yaar kisī din
daulat ke ye ambār tirā saath na deñge
gir jā.egī nādān ye dīvār kisī din
achchhī nahīñ lagtī hameñ aadat ye tirī 'badr'
har baar kabhī aur to har baar kisī din