vo jab degā jo kuchh degā degā apne vāloñ ko
vaise bhī kuchh miltā kab hai dhuup meñ tapne vāloñ ko
diin dharm mahfūz haiñ lekin tasvīroñ juzdānoñ meñ
vaqt paḌe to le aate haiñ maalā japne vāloñ ko
ḳhvāboñ kī bārish to saare zaḳhm hare kar detī hai
niiñd kahāñ se aa.egī phir bhīge sapne vāloñ ko
aḳhbāroñ kī surḳhī banñā sab ke bas kī baat nahīñ
ūñchā mol chukānā paḌtā hai roz ke chhapne vāloñ ko
jaane kaise aise vaise aage baḌhte jaate haiñ
paas se jā kar kis ne dekhā 'badr' panapne vāloñ ko