charāġhoñ meñ añdherā hai añdhere meñ ujāle haiñ
hamāre shahr meñ kaalī havā ne par nikāle haiñ
hameñ shab kāTne kā fan virāsat meñ milā ham ne
kabhī patthar pakā.e haiñ kabhī sapne ubāle haiñ
diloñ meñ ḳhauf hai us kā nazar hai us kī rahmat par
gunāhgāroñ meñ shāmil haiñ magar allāh vaale haiñ
laḌe the saath mil kar ham charāġhoñ ke liye lekin
hamāre ghar añdhere haiñ tumhāre ghar ujāle haiñ
tumhārī yaad se achchhā nahīñ hotā koī aalam
mayassar jin ko ho jaa.e baḌī taqdīr vaale haiñ
mohabbat āḳhirī hal hai hamāre sab masā.il kā
magar ham ne to nafrat ke sañpole dil meñ paale haiñ
bhaḌaktī aag to do chaar din meñ bujh ga.ī thī 'badr'
abhī tak shahr ke manzar na jaane kyuuñ dhuāñle haiñ