tumhāre dil meñ jo ġham basā hai to maiñ kahāñ huuñ
ye maiñ nahīñ koī dūsrā hai to maiñ kahāñ huuñ
hamārī palkoñ ke ḳhvāb āḳhir udaas kyuuñ haiñ
agar ye tum ko hī sochnā hai to maiñ kahāñ huuñ
vo merī tasvīr merī ḳhushbū ḳhayāl merā
tumhārā kamra sajā huā hai to maiñ kahāñ huuñ
kisī ne dekhā to kyā kahegā tum hī batāo
tumhāre hāthoñ meñ ā.īna hai to maiñ kahāñ huuñ
tumhārī chāhat ke zaḳhm shāyad mahak rahe haiñ
sunā hai mausam harā-bharā hai to maiñ kahāñ huuñ
harā jamegā ki surḳh joḌā ye kārchobī
tumheñ ye dil hī se pūchhnā hai to maiñ kahāñ huuñ
ye tum bhī socho ki 'badr' āḳhir udaas kyuuñ hai
charāġh itnā bujhā bujhā hai to maiñ kahāñ huuñ