Badr Wasti

dhani surmai sabz gulabi jaise man ka aanchal sham

Badr Wasti

dhānī surma.ī sabz gulābī jaise maañ kā āñchal shaam
kaise kaise rañg dikhā.e roz labālab chhāgal shaam
charvāhe ko ghar pahuñchā.e pahre-dār se ghar chhuḌvā.e
aate jaate chheḌtī jaa.e darvāze kī sāñkal shaam
sūraj ke pāpoñ kī gaThrī sar par laade thakī thakī sī
ḳhāmoshī se muñh laTkā.e chal detī hai paidal shaam
behis duniyā-dāroñ ko ho duniyā kī har chiiz mubārak
ġham-zādoñ kā sarmāyā haiñ aañsū aaheñ botal shaam
sūraj ke jaate hī apne rañg pe aa jaatī hai duniyā
jāne-būjhe chup rahtī hai shab ke moḌ pe komal shaam
sāñsoñ kī pur-shor Dagar pe raqs karegā sannāTā
chupke se jis roz achānak chhankā degī paa.el shaam
'badr' tumheñ kyā haal sunā.īñ itnā hī bas kaafī hai
tanhā.ī meñ kaT jaatī hai jaise-taise maḳhmal shaam
Top Urdushayar.com