nazar milā na sake us se is nigāh ke ba.ad
vahī hai haal hamārā jo ho gunāh ke ba.ad
maiñ kaise aur kis samt moḌtā ḳhud ko
kisī kī chaah na thī dil meñ terī chaah ke ba.ad
havas ne toḌ dī barsoñ kī sādhnā merī
gunāh kyā hai ye jaanā magar gunāh ke ba.ad
zamīr kaañp to jaatā hai aap kuchh bhī kaheñ
vo ho gunāh se pahle ki ho gunāh ke ba.ad
kaTī huī thiiñ tanābeñ tamām rishtoñ kī
chhupātā sar maiñ kahāñ tujh se rasm-o-rāh ke ba.ad
gavāh chaah rahe the vo be-gunāhī kā
zabāñ se kah na sakā kuchh ḳhudā gavāh ke ba.ad