Anjum Usman

umr bhar isko rahi ek sargirani aur bas

Anjum Usman

umr bhar is ko rahī ik sargirānī aur bas
vo to kahiye thī hamārī saḳht-jānī aur bas
ek musht-e-ḳhāk bil-āḳhir jo ḳhākistar huī
so ma.āl-e-zindagī hai rā.egānī aur bas
ik dayār-e-be-amāñ kī kaj-adā.ī dam-ba-dam
ik shab-e-hijrāñ kī paiham nauha-ḳhvānī aur bas
māh-o-anjum husn-e-parvāz-e-taḳhayyul ke liye
rahguzar kī dhuul manzil kī nishānī aur bas
āshiqī ke baab meñ dāman-darīda hī rahe
ik nazar bas ik tabassum kul kahānī aur bas
raqs meñ haiñ vahshateñ qarya-ba-qarya kū-ba-kū
ye junūn-e-ishq kī resha-davānī aur bas
thā shaikast-e-shauq kā unvān ishq-e-avvalīñ
pesh-e-pā uftāda merā ishq-e-sānī aur bas
zindagī kā isti.āra hai dil-e-shorīda-sar
hai ragoñ meñ ishq kī ātish-fishānī aur bas
dil sahīfa naqsh se ārāsta us ke rahā
dil sahīfe meñ likhī is kī kahānī aur bas
dard kā darmāñ suḳhan-hā-e-shagufta bhī nahīñ
be-asar hai sab tirī jādū-bayānī aur bas
hai shab-e-hijrāñ tilism-e-tīrgī 'anjum' darāz
chashm-e-girya kī hai ḳhūnāba-fishānī aur bas
Top Urdushayar.com