maiñ khil nahīñ sakā ki mujhe nam nahīñ milā
saaqī mire mizāj kā mausam nahīñ milā
mujh meñ basī huī thī kisī aur kī mahak
dil bujh gayā ki raat vo barham nahīñ milā
bas apne sāmne zarā āñkheñ jhukī rahīñ
varna mirī anā meñ kahīñ ḳham nahīñ milā
us se tarah tarah kī shikāyat rahī magar
merī taraf se ranj use kam nahīñ milā
ek ek kar ke log bichhaḌte chale ga.e
ye kyā huā ki vaqfa-e-mātam nahīñ milā