Saqi Faruqi

wahi aankhon mein aur aankhon se poshida bhi rahta hai

Saqi Faruqi

Gorakhpur, Uttar pradesh, India

1936-2018
vahī āñkhoñ meñ aur āñkhoñ se poshīda bhī rahtā hai
mirī yādoñ meñ ik bhūlā huā chehrā bhī rahtā hai
jab us kī sard-mehrī dekhtā huuñ bujhne lagtā huuñ
mujhe apnī adākārī kā andāza bhī rahtā hai
maiñ un se bhī milā kartā huuñ jin se dil nahīñ miltā
magar ḳhud se bichhaḌ jaane kā andesha bhī rahtā hai
jo mumkin ho to pur-asrār duniyāoñ meñ dāḳhil ho
ki har dīvār meñ ik chor darvāza bhī rahtā hai
bas apnī bebasī kī sātvīñ manzil meñ zinda huuñ
yahāñ par aag bhī rahtī hai aur nauha bhī rahtā hai
Top Urdushayar.com