Anjum Usman

ek malbus-e-darida hai meri wahshat-e-hijr

Anjum Usman

ek malbūs-e-darīda hai mirī vahshat-e-hijr
huī jaatī hai hijāboñ meñ ayaañ qāmat-e-hijr
ik tahayyur sā tahayyur hai tilism-gāh-e-talab
hai fusūñ-ḳhez kahīñ us se sivā ishrat-e-hijr
dāman-e-dard meñ simTā jo sukūt-e-girya
chashm-e-be-āb meñ poshīda rahī ismat-e-hijr
tañg-dāmānī-e-ālam meñ samā hī na sakī
hai sarīr-ārā karāñ-tā-ba-karāñ vus.at-e-hijr
ā.īna-ḳhāna-e-dil meñ hai vahī partav-e-huzn
naqsh-dar-naqsh vahī ḳhāl-o-ḳhad-e-shaukat-e-hijr
parda-e-chashm pe raqsāñ hai tirā aks hunūz
so bas ik vahm hai ye kār-gah-e-sā.at-e-hijr
ishq-e-shorīda to uryāñ huā jaatā thā magar
parda-dār-e-nigah-e-shauq rahī kisvat-e-hijr
zaḳhm-e-dil dīda-e-ḳhūnāba-fashāñ jazb-o-junūñ
saath laa.ī hai ḳhazīne ḳhabar-e-tohmat-e-hijr
ik talātum meñ hai ye ālam-e-āb-o-ḳhākī
haa.e mat pūchhiye 'anjum' zabar-e-hurmat-e-hijr
Top Urdushayar.com