Saqi Faruqi

shahr ka shahr hua jaan ka pyasa kaisa

Saqi Faruqi

Gorakhpur, Uttar pradesh, India

1936-2018
shahr kā shahr huā jaan kā pyāsā kaisā
saañs letā hai mire sāmne sahrā kaisā
mire ehsās meñ ye aag bharī hai kis ne
raqs kartā hai mirī ruuh meñ shola kaisā
terī parchhā.īñ huuñ nādān judā.ī kaisī
merī āñkhoñ meñ phirā ḳhauf kā saaya kaisā
apnī āñkhoñ pe tujhe itnā bharosā kyuuñ hai
tere bīmār chale tū hai masīhā kaisā
ye nahīñ yaad ki pahchān hamārī kyā hai
ik tamāshe ke liye svāñg rachāyā kaisā
mat phirī thī ki harīfāna chale duniyā se
sochte ḳhaak ki mavvāj hai dariyā kaisā
sub.h tak raat kī zanjīr pighal jā.egī
log pāgal haiñ sitāroñ se ulajhnā kaisā
dil hī ayyār hai be-vaj.h dhaḌak uThtā hai
varna afsurda havāoñ meñ bulāvā kaisā
aaj ḳhāmosh haiñ hañgāma uThāne vaale
ham nahīñ haiñ to karāchī huā tanhā kaisā
Top Urdushayar.com