hamla-āvar koī aqab se hai
ye ta.āqub meñ kaun kab se hai
shahr meñ ḳhvāb kā rivāj nahīñ
niind kī sāz-bāz sab se hai
log lamhoñ meñ zinda rahte haiñ
vaqt akelā isī sabab se hai
ham-ḳhayāloñ ke mashraboñ kā zavāl
ḳhauf se jabr se talab se hai
shola-bāroñ ke ḳhāndān se huuñ
ruuh meñ raushnī nasab se hai