chhup ke milne aa jaa.e raushnī kī jur.at kyā
ruuh ke añdhere meñ chāñd kī zarūrat kyā
tū mirī mohabbat ke qatl meñ mulavvis hai
aur mujhī se kahtā hai ḳhuun kī shahādat kyā
kaun merī āñkhoñ ke band toḌ detā hai
dil ke qaid-ḳhāne meñ qaid hai qayāmat kyā
ek dūsre ko ham bhuul jā.eñge ik din
itnī be-qarārī kyuuñ is qadar bhī ujlat kyā
raat se bichhaḌne ke ḳhvāb dekh rakkhe haiñ
sub.h rāste meñ hai ḳhvāb kī hifāzat kyā
ek vaqt aatā hai munsifī nahīñ miltī
jhuuT kī vakālat kyā ḳhauf kī adālat kyā
zulm sahne vāloñ kā sabr ḳhatm hotā hai
sirf ek dhamkī hai phailtī hai dahshat kyā