safar kī dhuup meñ chehre sunahre kar liye ham ne
vo andeshe the rañg āñkhoñ ke gahre kar liye ham ne
ḳhudā kī tarh shāyad qaid haiñ apnī sadāqat meñ
ab apne gird afsānoñ ke pahre kar liye ham ne
zamāna pech-andar-pech thā ham log vahshī the
ḳhayāl āzār the lahje ikahre kar liye ham ne
magar un sīpiyoñ meñ pāniyoñ kā shor kaisā thā
samundar sunte sunte kaan bahre kar liye ham ne
vahī jiine kī āzādī vahī marne kī jaldī hai
divālī dekh lī ham ne dasahre kar liye ham ne