vaqt abhī paidā na huā thā tum bhī raaz meñ the
ek shikasta sannāTā thā ham āġhāz meñ the
un se pyaar kiyā jin par ḳhāmoshī nāzil kī
un par zulm kiyā jo band apnī āvāz meñ the
har qaidī par āzādī kī had jaarī kar dī
hoñToñ kā ejaaz hue jo naġhme saaz meñ the
habs thā koī sub.h farozāñ hone vaalī thī
shaam qadam-bosī par thī saa.e parvāz meñ the
jis ne ḳhuun meñ ġhusl kiyā aur aag meñ raqs kiyā
haif ki saare hañgāme us ke ezaaz meñ the