ye kaun aayā shabistāñ ke ḳhvāb pahne hue
sitāre oḌhe hue māhtāb pahne hue
tamām jism kī uryāniyāñ thiiñ āñkhoñ meñ
vo merī ruuh meñ utrā hijāb pahne hue
mujhe kahīñ koī chashma nazar nahīñ aayā
hazār dasht paḌe the sarāb pahne hue
qadam qadam pe thakan sāz-bāz kartī hai
sisak rahā huuñ safar kā azaab pahne hue
magar sabāt nahīñ be-sabīl rastoñ meñ
ki paañv so ga.e 'sāqī' rikāb pahne hue