bād-e-nisyāñ hai mirā naam batā do koī
DhūñDh kar laao mujhe merā patā do koī
hādisa hai ki sitāroñ se mujhe vahshat hai
mujh ko is dasht ke ādāb sikhā do koī
vo añdherā hai ki tanhā.ī se hol aatā hai
saare bichhḌe hue logoñ ko sadā do koī
ek muddat se charāġhoñ kī tarah jaltī haiñ
in tarastī huī āñkhoñ ko bujhā do koī
mauj-dar-mauj marī zindagī girdāb meñ hai
is safīne ko kināre se lagā do koī