Anjum Usman

main tujh par munkashif ho jaun ye mujh par garan hai

Anjum Usman

maiñ tujh par munkashif ho jā.ūñ ye mujh par garāñ hai
ḳhasāra sā ḳhasāra tā-ba-imkāñ sab ziyāñ hai
ye chashm-e-nam kī ḳhūnāba-fishānī tham rahe to
khule ashkoñ kī tuġhyānī kā sar-chashma kahāñ hai
charāġh aise tah-e-farsh-e-zamīñ rakkhe ga.e the
falak kī maañg meñ ik jhilmilātī kahkashāñ hai
tirī āñkhoñ se le kar hai shikam tak bhuuk raqsāñ
to phir nān-e-javīñ kā dā.era hī kul jahāñ hai
huī ab raftanī terī ḳhalish to kyā ye samjhūñ
ki kuchh baaqī nahīñ ab tere mere darmiyāñ hai
kiyā inkār jab qaid-e-qafas se tab khulā ye
par-e-parvāz kī had to karāñ-tā-ba-karāñ hai
tah-e-dām-e-asīrī bhī rihā.ī kī tamannā
mirī sahmī huī āñkhoñ meñ ab tak pur-fishāñ hai
kahāñ kā ishva-o-ġhamza-o-nāzish aah 'anjum'
ki merā mehrbāñ mujh par abhī nā-mehrbāñ hai
Top Urdushayar.com