hirās phail gayā hai zamīn-dānoñ meñ
qayāmateñ nazar aatī haiñ āsmānoñ meñ
na jaane kis kī nazar lag ga.ī in āñkhoñ par
jo ḳhvāb dekhtī thiiñ ḳhauf ke zamānoñ meñ
yahāñ ḳhayāl ke sotoñ se ḳhuun phūTegā
sarāb ke liye jañgeñ haiñ sārbānoñ meñ
ye kaun haiñ ki ḳhudā kī lagām thāme hue
paḌe hue haiñ qanā.at ke shāmiyānoñ meñ
maiñ apne shahr se māyūs ho ke lauT aayā
purāne sog base the na.e makānoñ meñ