raat nādīda balāoñ ke asar meñ ham the
ḳhauf se sahme hue sog-nagar meñ ham the
paañv se lipTī huī chīzoñ kī zanjīreñ thiiñ
aur mujrim kī tarah apne hī ghar meñ ham the
vo kisī raat idhar se bhī guzar jā.egā
ḳhvāb meñ rāhguzar rāhguzar meñ ham the
ek lamhe ke jazīre meñ qayām aisā thā
jaise anjāne zamānoñ ke safar meñ ham the
Duub jaane kā salīqa nahīñ aayā varna
dil meñ girdāb the lahroñ kī nazar meñ ham the