surḳh chaman zanjīr kiye haiñ sabz samundar laayā huuñ
maiñ to duniyā bhar ke manzar āñkhoñ meñ bhar laayā huuñ
jañgal the aur log purāne sog pahan kar sote the
ek anokhe ḳhvāb se apnī jaan chhuḌā kar laayā huuñ
maiñ itnā mohtāj nahīñ huuñ tū itnā māyūs na ho
aaj barahna-chashm nahīñ ashkoñ kī chādar laayā huuñ
sirf nashāt-añgez fazā meñ lahje kī tahzīb huī
dekh apne nauhoñ ke alam naġhmoñ ke barābar laayā huuñ
'sāqī' yādoñ kī fasdoñ se jiitā jiitā ḳhuun bahe
maiñ rañgoñ kī fasleñ kaaT ke aaj apne ghar laayā huuñ